Kisi Se Kuch Ummeed
Ek taraf hun kuch bhikari sa
Auron ka diya khaata peeta hun
Kuch maangta nahin zara bhi
Jo mil jaaye usi par jeeta hun
'Zindagi se kuch ummeed nahin rakhna'
Yeh kuch keemath par jaana hai
Mile hue har tukde ko ab
Humne barkat maana hai
Ab har taraf barkat hi barkat
Duaaen meri behisaab hainHume dher mila khazaana ab tak
Zindagi meri laajawaab hai
Jo bhi aata hai, apne se
Bahut khushi se leta hun
Usse bhi aur khushi se
Auron ko mai deta hun
Ye dhan daulat ki baat nahi
Ye mohabbat ka kissa hai
Ye raat tu mere saat nahi
Phir bhi tu mera hissa hai
Auron ka diya khaata peeta hun
Kuch maangta nahin zara bhi
Jo mil jaaye usi par jeeta hun
'Zindagi se kuch ummeed nahin rakhna'
Yeh kuch keemath par jaana hai
Mile hue har tukde ko ab
Humne barkat maana hai
Ab har taraf barkat hi barkat
Duaaen meri behisaab hainHume dher mila khazaana ab tak
Zindagi meri laajawaab hai
Tum bhi to meri zindagi ho
Ab tum se kya ummeed ho?
Yehi agar kismat mein meri ho
Kabhi phir tumhari deed ho
Jo bhi aata hai, apne se
Bahut khushi se leta hun
Usse bhi aur khushi se
Auron ko mai deta hun
Ye dhan daulat ki baat nahi
Ye mohabbat ka kissa hai
Ye raat tu mere saat nahi
Phir bhi tu mera hissa hai
English Translation:
Expectations of Anyone
On the one hand, I am a bit like a beggar
I eat and drink what others give me
I dont ask for anything, even a little bit
Whatever I get I live off it
"Don't expect anything as a right from life"
I have learned this at some expense
Now every crumb that I get
I treat it as a windfall
Now all around its abundance and plenty
My blessings are countless
I have received heaps of treasure
My life is peerless
You too are my life
Now what can I expect as a right, of you?
Only that if it is in my fate
Sometime, once more let me catch sight of you
Whatever comes to me, on its own accord
I happily accept it
With even greater happiness
I give away to others
This is not money and wealth I am talking about
It is a story of love
You are not with me tonight,
But you still are a part of me
Copyright (c) Kannan Narayanamurthy 2016
All rights reserved
All rights reserved
Very touching. Maine ise padha aur parh kar jindgi ko sunaya.
ReplyDelete